View Full Version : Taza rotee aur salan – uff ALLAH, hai Baji !!!
Kitna saada khana magar kitna mazaa hai iss mai?
Apka pasandeeda khana kiya hai ? – yaad rakhen kay mai kaam par hoon aur lunch ka waqt nazdeek hai – raham keejeeyay :31:
Kashif
23rd June 2008, 10:47
- Murgh Biryani, raita aur salaad.
- Daal (Masoor ki), Chawal aur aam ki achaar.
:)
from_da_lost_dim3nsion
23rd June 2008, 19:17
tandoor ki garm a garam roti aur mashki dall pathan hotely style with lots of roghan!
Kiya humaray mumalik mai dil kay amraz ziyaday hee hotay hain - janay kiyon? Zara oopar kay khanon kee fahrist par tawaja farmiyain
from_da_lost_dim3nsion
23rd June 2008, 19:35
Kiya humaray mumalik mai dil kay amraz ziyaday hee hotay hain - janay kiyon? Zara oopar kay khanon kee fahrist par tawaja farmiyain
abhi to main ne paaye aur brain masalla ka zikar nahin kya !ufffffff!
12thMan
23rd June 2008, 19:43
abhi to main ne paaye aur brain masalla ka zikar nahin kya !ufffffff!acha kiya kiyon kay wo meri list mein nahien hein. Kiya pata next tum kaporray likh do. Ahtiyat farmiya
McBoom
23rd June 2008, 20:51
Chicken tikka
Tarkay wali daal, uskay saath qeema, chaawal aur saath maen achaar, kia baat hae jinab.
تلی ہوی مچی تے نال تلے ہوے آلو، اتے رج کے نمک تے سرکا
12thMan
24th June 2008, 00:59
fish and chips choro .... I will be having a murghi salan aur saada chawal aik ghantain mein
baadtameez - URDU medium logo....
Zeenix
24th June 2008, 08:05
چپلی کبا ب ، بلو چی سجی ، کڑ ا ہی گو شت ، ر ا ہیتھ ، لسی
Breaking news:
Oopar walli post partay hee MIG behosh hogaya...bataya jata hai kay lunch ka waqt qareeb tha aur bechara MIG khanay kay baray mai soch raha tha - ALLAH janat naseeb karay...
from_da_lost_dim3nsion
24th June 2008, 09:02
daryae sindh ke kinare palang per baith ker kooyloon per bhini hooya fresh palla machli, murghi ki sajji,student biryani,nazimabad ke gool market ki kachori
from_da_lost_dim3nsion
24th June 2008, 09:03
chicken seekh booti with tandoor rooti
lahori@denmark
24th June 2008, 09:32
anwer massod ki yeh ghazal khane ke shadaiyon ke naam
ajj ki pakaiye (http://youtube.com/watch?v=4RzyIL9Ffz8)
Pak_mystery
24th June 2008, 21:43
Breaking news:
Oopar walli post partay hee MIG behosh hogaya...bataya jata hai kay lunch ka waqt qareeb tha aur bechara MIG khanay kay baray mai soch raha tha - ALLAH janat naseeb karay...
:)) ameen
mcmian
28th June 2008, 04:33
is gareeb ka pasandeeda khana hai karachi ki dhoor matti sai bhur poor hawain
12thMan
30th June 2008, 19:44
I will be having a murghi salan aur saada chawal aik ghantain meinwo kal ki baat thi guzar gaye lekin murghi salan thora bach giya. To kal mein nay us mein thoray frozen vegetables aur pasta dala aur Pasta chicken masala khaiya
Plasma
1st July 2008, 02:23
- Murgh Biryani, raita aur salaad.
- Daal (Masoor ki), Chawal aur aam ki achaar.
:)
aam ko mmirch se badal dain to yeh dauno dishes meri pasand ki hain.
Ek aur cheez, urdu forum main sab angrazi main kyun likh rahay hain? Main to ider is liye nahi atta tha kyun ke muja urdu sahi likhne nahi ati... :(
Likyay URDU main phir, janab-e-Aali...
Plasma
1st July 2008, 15:11
Likyay URDU main phir, janab-e-Aali...
Lakin likhna nahi atta... :6:
12thMan
2nd July 2008, 22:42
lagta hay aaj garam garam anday khaon ga agar aik ghantay mein na nikla. tallay huay anday jin kay beech mein saturn betha ho ya tootay phootay mix milap anday. teen anday kay char. bahot say sawal aur bahot say tajziay in par. Chalo aglay aik ghantay ka kam yahee hay nahein to qeema
Seattle Coffee say aik chaklate croissant aur mazedar caffe latte charhai aur , jissay kehtay hain, iman naal mazza agaya !!
Zeenix
3rd July 2008, 06:05
Seattle Coffee say aik chaklate croissant aur mazedar caffe latte charhai aur , jissay kehtay hain, iman naal mazza agaya !!
آ پ د ل کے ا نجمن میں ُحسن بن کر آ گےء
ا یک نشھ سا چھا گیا ھے بن پیے لھر آ گےء
vBulletin® v3.8.4, Copyright ©2000-2013, Jelsoft Enterprises Ltd.